Wednesday, April 16, 2008

"ZAMEER KA QAIDI"

zameer ka qaidi

bahut aazaad hota hay

yeh aazaadi junoo'n uska

junoo'n hi bas sukoo'n uska

kay jis ke waastay woh

sab massa'ib hans ke sehta

koi shikwa gila kuch bhi nahi

uff tak nahi karta

kay is dushnaam ka khanjar

hay uski rooh men paiwast

kay hay mehkoom dharti maa

aur ik be-sharm betay ki tarah woh be-hisi se

mujrimana khaamshi ka bojh uthaa'ay

ik pal bhi zinda reh nahi sakta

lagay maanind e zindaa'n god e maadar

woh hargiz seh nahi sakta

bas apni sarzami'n par haakmiyat uski chahat hay

yeh chahat nazriya e zeest

kay jiski justju men

dasht o sehra o bayaba'n kya

woh apne watan ko qaabiz qazaaqo'n se chudhaanay ko

har ik maidaan men har mahrkay men

marg se muska ke milta hay

watan hi deen o imaa'n hay

watan kalma deewanay ka

yehi naara mujaahid ka

badan mehkoom ho chaahay

magar ufkaar ho'n aazaad


ghulaami men jo khush ho

watan zindaan ho aur mutma'in ho

nahi woh laash se kuch kam ae logo!

No comments: