ban gai zan bhi milkiyat zar ki
jaise hoti hay koi shay ghar ki
izz e ghaerat pe jaan jaati hay
roz ik bay zubaan dukhtar ki
habs se dam hi kyun na ghut jaa'ay
par sirak paa'ay na chaadar sar ki
yoo'n to jannat hay maa kay paao'n talay
par gawaahi hay nisf kamtar ki
mard ne aarh men mazaahib ki
bas ghulami teri muqqadar ki
aur ban baitha khud mijazi khuda
haisiyat apni zan se bartar ki
oob jaa'ay jo man badal do zan
jaise chaadar ho koi bistar ki
naam pehchaan bhi nahi zaati
pehle waalid ki ab hay shohar ki
chaar izwaaj o hoor o ghilmaa'n bhi
har sahoolat bas apni khaatir ki
kitni sadiyo'n sati chita men jali
jeetay jee paai naar mehshar ki
fikr e niswaa'n pas e zindaa'n saaqib
fuqiyat rakhti hay taaqat nar ki
Sunday, April 27, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment