Tuesday, April 29, 2008

"OSNAY KHAIRAAT DI"

OSNAY KHAIRAAT DI SAWAAB LIYA

NAAM SHOHRAT BHI BAY-HISAAB LIYA

CHANDD RUPYO'N KAY EVAZ GHURBAT SE

MO'TBAR SHAKHS KA KHITAAB LIYA

MUFLISI BAN GAI UMRAA KI GHULAAM

BHOOK NE BHEEK KA AZAAB LIYA

"SONAAMi"

ZINDAGI
ROZ HI TO MARTI HAY
KABHI BHOOK KAY KHANJAR SE KHOON'CHIKAA'N
JHUGIYO'N MEN BILAKTI TADAPTI HUI
DAM TOD DETI HAY
TO KABHI
AATISH E ZULM O WHESHAT MEN SOKHTA O BIRYA'N
KABHI AQAA'ID MEN TAZADAAT KI BHENT CHADTI HAY
TO KABHI
RANG O NASL KI ASBIYAT
UDA DETI HAY GARDAN IS KI
YA KABHI YOONHI
KISI HAAKIM E KHUD SAR KI
TAB E ZOHM E TAWANGARI KI TASKEE'N KAY EVAZ
BHARPOOR
KHUSH-BAASH
SHAANT SHEHER
BAMO'N SE GARAJ UTH'TAY HAIN
TO CHEETHRO'N KI SHAKL MEN
UDTI BIKHARTI
RAAKH KA DHER BAN JAATI HAY
YEH ZINDAGI
ROZ HI TO MARTI HAY
ROZ HI TO SINAAN E NAFRAT
QATL KARTI HAY ISAY
PAR
AEHSAAS KA JISM HAY KAY
IK SOOI TAK NAHI'N CHUBHTI ISMAY'N
MAR RAHA HAY ZINDAGI KAY SAATH SHAYAD YEH BHI
MAANOOSIYAT SI HO GAI HAY MAUT SE AB TO
JEENE LAGAY HAIN MAUT KO HUM
ZEEST KI JAGA
YEH BHAYANAK BE-HISI
KUCH KAM NAHI HAY MAUT SE LOGO!
MAGAR AAJ
KYA HUA AISA
KAY NEEM MURDA AADMIYAT KI AALOODA ROOH
YOO'N TILMILA UTHI
KAY CHEEKHAY BAGHER NA REH SAKI
INSAAN KA YEH DUKH, YEH AKMIYA
NA SEH SAKI
SONAAMI!
DHO GAYA
ROOH E INSAA'N PAR CHARAY SAARAY KHOL
SAARAY FARQ RANG O NASL O MAZHAB KAY
IK AISI MAUT DAY DI ZINDAGI KO
KAY JEE UTHAY YEH BAY HIS MURDA PHIR SE
BAHUT BIPHRI HUI HAY ZINDAGI
DEKHO
IN LEHRO'N KI RAWAANI MEN
MACHALTI ZINDAGAANI NE
NIBAAH KARLI AJAL SE
TABAH KAR DAALA JEEVAN
KAY JIS KI QADR O QEEMAT
KORIYO'N SE BHI GHATA DI AADMI NE
BAHUT TAZLEEL SEH LI ZINDAGI NE
PAR HAA'N
AB BHI WAQT HAY
KAY IS SE PEHLAY
SAARI HASTI NEEST HO JAA'AY
CHALO HUM MIL KAY KARLE'N DAFN SAARI NAFRATO'N KO
BAHADE'N ASBIYAT KO
BEHER E IJZ O INKSAARI MEN
JALAAE'N PYAAR KI QANDEEL
MANAAE'N ROOTHAY JIVAN KO
MOHABBAT SE KARE'N LABREZ
APNE KHAALI TAN MAN KO

""TRIVINI""(MAINE DEKHA THA)

MAINE DEKHA THA PEHLI BAAR OSAY

JAANAY PHIR BHI KYUN WOH APNA SA LAGA

ROOH MILTI HAY BIN MILAY SHAYAD

Monday, April 28, 2008

""ABSENT'''

WOH BAANDH KAR BUM GAYA THA MASJID

WO PHAT K ANDAR BIKHAR CHUKA THA


AUR IS FEHL SE KAI NAMAZI BHI MAR CHUKE THAY


MAIN SOCHTA HOON


WOH KYA NAZARIYA HAY JIS KI KHAATIR


KHUDA K GHAR MEN


KHUDA K BANDE NE JAAN DE KAR


KHUDA K BANDO'N KI JAAN LE LI


MAIN SOCHOO'N SAQIB


KHUDA KO JO SAJDA KAR RAHE THAY


OSI K GHAR MEN HI MAR RAHE THAY


TO OS GHARI PHIR KHUDA KAHAN THA?

"AEHSAAS"

TUM NE AEHSAAS KAY SAA'AY KO DEKHA HAY KABHI

KABHI AAKAASH KAY MAATHAY PE HAATH RAKHA HAY

KABHI US CHAAND KO ROTAY HUAY BHI DEKHA HAY

TUM NE SURAJ KAY MAN MEN JHAANK KAY DEKHA HAY KABHI

KISI BUJHTAY HUAY TAARAY KO RAUSHNI DI HAY

KABHI GHATA MEN CHUPA AAB DEKH PAA'AY HO

YA HAWAAO'N MEN BASI ZINDAGI DEKHI HAY KABHI

KABHI KHUSHBU KO PHAILNAY SE ROK PAA'AY HO

MAA KI SHAFQAT KO BADALTAY HUAY DEKHA HAY KABHI

KABHI KHAAMOSH BAYAABA'N SE BAAT BHI KI HAY

YA SAMANDAR SE KISI MOR PAR MILAY HO KAHEE'N

KABHI IS JISM MEN MAUJOOD ROOH DEKHI HAY

ROOH MEN AATI JAATI SAANS KO CHUWA HAY KABHI

TUM NE AEHSAAS KO MEHSOOS TO KIYA HOGA

YAHI AEHSAAS HI MEHRAAJ E KHUDI HAY SAAQIB

"MASHWARA"

SAARI RATIYAA'N TAARAY TAKIYAA'N
GORI TORI KORI AKHIYA'N
AAS LAGA'AY BAITHI HAIN KAY
KOI TAARA MAN AANGAN MEN
KISI PEHER AAKAR UTRAY AUR
TORI SOONI MAANG SAJA DAY
PYAASI AAS KI PYAAS BUJHA DAY
BARF SE LIPTI AAG SI TORI
YEH CHANCHAL MADH-MAST JAWAANI
CHINGAARI SI BHARRAK UTHAY GI
TAARA BAN KAY CHAMAK UTHAY GI
KAAHAY TAARO'N KO TAK KAR TU
JHOOTAY MOOTAY SAPAN SAJA'AY
KAAHAY SHAB BHAR NEER BAHA'AY
BAY-KAL JIYARA AUR JALA'AY
APNAY MAN MEN JHAANK TO KAMLI
TORAY BEETAR SAHAR CHUPI HAY
AB NA AN TAARO'N KO TAKIYO
AB NA SAARI RATIYA'N JAGIYO
MOOND LAY APNI AKHIYA'N GORI
UGAY GA TUJH SE SUBAH KA SOORAJ

"NIZAAM"

AAONA US NIZAAM KI JAANIB KO HUM CHALE'N

JISME'N GHAREEB GHURBAT O IFLAAS SE CHOOTAY

JISME'N AMEER ISHRAT O AIYAASHI SE ROOTHAY

JISME'N TAMAAM SIMTO'N MEN INSAAF KI BOO HO

JISME'N NA BAY-GUNAAHO'N KA SADKO'N PE LAHU HO

JISME'N NA KOI ZULM HO MAZLOOM HO KOI

JISME'N NA APNE HAQ SE MEHROOM HO KOI

JISME'N NA SIFAARISH HO NA ROSHWAT KI LAA'NATAY'N

JISME'N NA AAMIRO'N KAY HAATH MEN HO'N KHILH'ATAY'N

JISME'N KOI WAAHEZ HO NA PANDIT HO NA RAAHIB

JISME'N KOI KISI KA NA NAUKAR HO NA SAAHIB

JISME'N TAMAAM MAZHABO'N KA EHTRAAM HO

JISME'N KHULOOS FARZ HO TAA'LEEM AAM HO

JISME'N SABHI NAFOOS KI IZZAT KA PAAS HO

JISME'N NA KOI AAM HO NA KOI KHAAS HO

JISME'N NA KOI CHOTA HO NA KOI BADA HO

JISME'N SABHI KAY HONTO'N PE MUSKAAN JARA HO

JISME'N HAR AIK SHAKHS KA CHEHRA BAHAAR HO

JISME'N HANSI KHUSHI HO MOHABBAT HO PYAAR HO

INSAAN KO INSAAN KA RUTBA JAHAA'N MILAY

AAONA US NIZAAM KI JAANIB KO HUM CHALE'N

"BARFAAB KALI"

WAADI E SHAAL KI BARFAAB O PURSHABAAB KALI

KHUNK MAUSAM KI DIL-FAREB FIZAAO'N MEN PALI

JIS KI MUSKAAN MEN POSHEEDA HAY RAAZ E HASTI

JIS KI AAWAAZ MEN SHEERINI E SAAZ O MASTI

JIS KI RANGAT SE HAY ARZHANG JAMAAL E JANNAT

JO WOH ROOTHAY TO HO BAY-RANG KAMAAL E FITRAT

SOONGH LAY JO OSAY IK BAAR AMAR HO JAA'AY

KAASH! WOH BOO E GOHAR MUJH KO MAYASSAR AA'AY

"FLASH BACK-2"

TUM NE CHEDA HAY YAAD KO DEKHO
AB YEH SARHAANAY BAITH KAR MERAY
BEETAY AIYAAM KAY DILKASH LAMHAY
MERI SOCHO'N MEN THOONSTI JAA'AY
WAQT SAAKIT KHADA HAY PEHLU MEN
YAAD USKO BHI KOSTI JAA'AY
NEEND ROOTHI HUI HAY AANKHO'N SE
YAAD JAA'AY TO MUJHKO NEEND AA'AY
RAAKH NE JISM HAY ODHA PHIR SE
TUM NE KYUN YAAD KO CHEDA PHIR SE

"LAMS"

RAAT GHAR JAB BI MAIN AAWAARGI SE LAUT'TA HOO'N

PAINKH DETA HOO'N JOONHI BOJH APNA BISTAR PAY

GHUP TAAREEK ANDHERAY MEN TERI MEETHI YAAD

UNGLIYAA'N PHERNAY LAGTI HAY MERAY BAALO'N MEN

"TRIVINI"(JAB BHI CHAHOO'N)

JAB BHI CHAAHOO'N KAY MAN KI BAAT KAHOO'N

LAFZ JAMM JAATAY HAIN LAB PE AAKAR

UNGLIYAA'N RAKKH KAY HARAARAT DO'NA

"AIK SHE'R"

MERAY KHAYAAL KAY PEHLU MEN BAITH KAR DEKHO

TUMHAARAY KHWAAB NA MUSKAAE'N TO MUJH SE KEHNA

" NAA KARIYE"

ROOH E JAMHOOR QATL NAA KARIYE
GHAIR INSAAF ADL NAA KARIYE

JAAM SE KEEJIYE YA ZAM ZAM SE
KHOON E MASKEE'N SE GHUSL NAA KARIYE

AAG SE KHELIYE MAT JHULSENGAY
AE HUZOOR FEHEL E TIFL NAA KARIYE

YAAD AAE'N NA HUM JO WAQT E FIRAAQ
PAAS AAE'N TO VASL NAA KARIYE

DIL TO LETAY HAIN DIL NAHI'N DETAY
ISHQ KARIYE JI SHUGHL NAA KARIYE

TARK E MAY-NOSHI KHUD FARAAMOSHI
KAAR E NAAGUFTA AQL NAA KARIYE

TANGI E RIZQ WOH BHI DEHQAA'N PAR
YAA ILAAHI YOO'N FAZL NAA KARIYE

FARZ GAR POORAY KAR LIAY SAAQIB
DIL NA CHAAHAY TO NAFL NAA KARIYE

"ROOTHAY HUAY MEHBOOB KO"

ROOTHAY HUAY MEHBOOB KO AA'AY HAIN MANAANAY
ACHCHO'N KO PADAY ISHQ MEN YEH NAAZ UTHAANAY

AB DAR PE PADAY REHTAY HAIN DIN RAAT HAMAARAY
KAL TAK JO NA MILNAY KAY BANAATAY THAY BAHAANAY

SHAAYAD WOH MERAY AAKHRI DEEDAAR KO AAE'N
NIKLI HAY MERI SAANS UNHE'N PAAS BULAANAY

KAL RAAT TERAY KHOWAAB MEN JAAGAY HAIN NEEND MEN
AB TAK TERI SARGOSHI SIRAKTI HAY SARHAANAY

FIKR E VISAAL E YAAR FAQAT ROZGAAR HO
DIL DHOONDHTA HAY PHIR WOHI FURSAT KE ZAMAANAY

JEEVAN MEN SAR JHUKAY TO FAQAT WAJH E TASHNAGI
SAAQIB KISI BEHTAY HUAY JHARNAY KAY DAHAANAY

"HUMSAFAR HAY"

HUMSAFAR HAY PA GHAM-GUSAAR NAHI'N
MERA SAAYA WAFA SHUAAR NAHI'N

ISHQ IK SOZISH E MUSALSAL HAY
IS MEN PAL BHAR KO BHI QARAAR NAHI'N

DIL TO YEH RAAKH HO CHUKA KAB KA
HAAN MAGAR AANKH ASHKBAAR NAHI'N

JIS KI JARR HI JALAAI JAATI HO
AA'AY US PER PAR BAHAAR NAHI'N

TU KHUDI BECH KAR HAY NEKO KAAR
TO TAWAAIF BHI GUNAHGAAR NAHI'N

KITNI SADIYO'N SE HAY MUSAAFAT E SHAB
MANZIL E SAHAR KA DEEDAAR NAHI'N

GHAIR SE KYA GILA KEEJAY SAQIB
DIL HI KAM-BAKHT APNA YAAR NAHI'N

"HAUSLAY TOOT KAR BIKHAR JAATAY"

HAUSLAY TOOT KAR BIKHAR JAATAY
AAP GAR HAATH CHOD KAR JAATAY

TANG-DASTI HAY WAGARNA JAANA'N
TERI TAARO'N SE MAANG BHAR JAATAY

AAP DETAY JO IK NIGAAH E KARAM
HUM TO WALLAH KHUSHI SE MAR JAATAY

UN KI AAMAD KA SUN KAY BAITHAY HAIN
WARNA MEHFIL SE KAB KAY GHAR JAATAY

RAB NAHI'N MAA'BUDO'N MEN GAR HOTAY
SHAIKH JI AAP TO SUDHAR JAATAY

MASLEHAT FEHEL E FAKHR O SHARF NAHI'N
IS SE BEHTAR THA AAH BHAR JAATAY

KHAATIR E YAAR DAAR KYA SAAQIB
HUM JAHANNAM SE BHI GUZAR JAATAY

"MERI PURSISH KHUD APNAY HAAL SE"

MERI PURSISH KHUD APNAY HAAL SE KAR LEEJIYE GA
MERAY GHAM MEN NA ASHK AANKH MEN BHAR LEEJIYE GA

YAAD AAOO'N TO MERI YAAD KI TASKEE'N KAY LIAY
ARZ ITNI SI HAY THORA SA SANWAR LEEJIAY GA

DAAMAN E YAAR PE TOHMAT NA KOI LAG JAA'AY
SAARI RUSWAAI AAP APNE HI SAR LEEJIAY GA

APNI TANHAAI KI GEHRAAI NAAPNAY KAY LIAY
MERI AANKHO'N KAY SAMANDAR MEN UTAR LEEJIAY GA

AAP GAR QAID CHAAHTAY HAIN MERI TO SAIYAAD
JAAN E SAAQIB KI LATTHO'N SE YEH HUNAR LEEJIAY GA

"KHAAMOSH AASMAAN HAY"

KHAAMOSH AASMAAN HAY DHARTI UDAAS HAY
SUBH E UMEED KYUN GARIFT E MEHV E YAAS HAY

TUJH MEN HI HAQIQAT KAY SABHI RAAZ HAIN PINHAA'N
HAR KHAAB KI TAABEER FAQAT TERAY PAAS HAY

YEH ZEEST TALKHIYO'N KA SAMAR DEGI AIK DIN
HAR DAUR KHIZAAO'N KO BAHAARO'N KI AAS HAY

TAPTA HUA SEHRA HAY GHTAAO'N KA MUNTAZIR
UMEED KO HOTI HUI SAAHAT KI PYAAS HAY

DIL DAY CHUKAY HAIN AAPKO DARKAAR GAR NAHI'N
RAKHIYE GA AAS PAAS YAHI ILTEMAAS HAY

HAY KHWAAISH E BEHESHT TO DUNIYA TYAAG DAY
YEH WEHM HAY, EEMA'N HAY, YAQEE'N HAY, QAYAAS HAY?

WAAHEZ DAROON E QALB SE NAFRAT NIKAALIYE
TAB JAA KAY JAAN PAAENGAY KYA IBD E KHAAS HAY

SAAQIB JI JHOOT JITNA BHI SHIRI'N HO JHOOT HAY
ZEHRAAB E SACH KI TALKHIYO'N MEN BHI MITHAAS HAY

"ROOH BOJHAL HAY"

ROOH BOJHAL HAY SAANS BHAARI HAY
BIN TERAY ZEEST MEN DUSHWAARI HAY

IZTRAABI HAY IZTRAARI HAY
BADI SAFFAAK BE-QARAARI HAY

SOCH MAAOOF SI HOJAATI HAY
YAAD KI ZARB BADI KAARI HAY

YEH MOHABBAT BHI AJAB BAAZI HAY
JEET USKI HAY JISNAY HAARI HAY

TERI RAAHO'N KI TEERGI MERI
MERI HAR RAUSHNI TUMHAARI HAY

HUM KAHA'N APNE REH GA'AY JANA'N
AB TO YEH SAANS BHI UDHAARI HAY

MAR CHUKAY HUM PA KHULI AANKHO'N KO
TERI AAMAD KI INTEZAARI HAY

ZINDAGI MIL GAI TO JEE LEN GAY
AB TALAK MAUT HI GUZAARI HAY

YEH DUWAAO'N NAY TARBIYAT DI HAY
SOCH PAIDAAISHI BHIKAARI HAY

HUM NE OHAAM KI TASKEE'N KO SADA
JEHEL KI AARTI UTAARI HAY

JAB KAY HAR SHAY HAY TUMHARI TAABEH
CHAAR SU PHIR KYUN SOGWAARI HAY

MARG NE GOSH MEN SARGOSHI KI
YAAR SAAQIB TUMHARI BAARI HAY

"SOORAJ KAY PAIRHAN"

SOORAJ KAY PAIRHAN KI BHI LI JAA'AY TALAASHI
TAAREEKIYO'N KO RAUSHNI DI JAA'AY ZARA SI

NAAKHUN GHUSAIR RAKHAY HAIN SUBHA KAY JISM MEN
AASEB ZADA RAAT TO LAGTI HAY BALA SI

AAMIR KI GOD MEN HAY ADLIYA TO KUCH NAHI
MEHBOOB KI BAAHO'N MEN DILRUBA TO FAHAASHI?

"NA HUA"

ZUBAA'N SE KEH NA SAKAY AANKH SE BAYAA'N NA HUA
MAZAAR E QALB SULAGTA RAHA DHUWAA'N NA HUA

WAFA SHU'AAR YAAR NAA HUA KUCH RANJ NAHI'N
YAHI BAHUT HAY KAY WOH MUJH SE BADGUMA'N NA HUA

KHAATIR E RASM E JAHA'N LAB PE HANSI HAY WARNA
AAP KAY BAAD KABHI DIL YEH SHAADMAA'N NA HUA

SIRF HUM HI THAY BE-KHABAR WAGARNA SAARAY SHEHER
HAMAARAY ISHQ KA CHARCHA KAHA'N KAHA'N NA HUA

UMR BHAR JIS KO BINA DEKHAY KIYE RUKOOH O SUJOOD
KABHI BHI HUM PE MEHERBAA'N WOH AASMAA'N NA HUA

HAIN AQAA'ID FAQAT SARAAB O SAI E LAA-HAASIL
WOH KHUD KO PAA SAKA JO SAAHIB E EEMAA'N NA HUA

JINHE'N TEHQIQ O IJTEHAAD HECH LAGTAY HAIN
AISI AQWAAM KA TAAREEKH MEN NISHAA'N NA HUA

HAALAT E KUFR MEN HI FAUT HO GAYA SAAQIB
SHEKH RANJOOR HAY KYUNKAR WOH MUSALMAA'N NA HUA

"YAAD KI KARWATE'N"

YAAD KI KARWATE'N GINWAAOO'N TUMHE'N
SOCH KI SILWATE'N DIKHAAOO'N TUMHE'N

MUJH MEN KOI HAY ADH-MARA DEKHO
SAANS KI SISKIYAA'N SUNAAOO'N TUMHE'N

IK TERI YAAD HAY UMEED E HAYAAT
TUM YEH KEHTAY HO BHOOL JAAOO'N TUMHE'N

BOLTAY LAB TUMHARA VIRD KARE'N
BAND HONTO'N SE GUNGUNAAOO'N TUMHE'N

ZOHM THA KHOOB TUMHE'N DAAWO'N PAR
MAINE SOCHA KAY AAZMAAOO'N TUMHE'N

QAUM KI ZINDAGI ANDHERI HAY
HAAKIM E WAQT AA JALAAOO'N TUMHE'N

TAA'NA-ZAN SE ZARA KAHIYO SAAQIB
AAO MAIN AAINA DIKHAAOO'N TUMHE'N

"MAUT SE KYA"

MAUT SE KYA DARAAO GAY SARKAAR
NAHI BAAGHI KO KHAUF E TAKHTA E DAAR

WOH MARAA'AAT PAR NAHI MARTAY
JO NAZRIYAAT PE HOTAY PE HOTAY HAIN NISAAR

MANZIL E HAQ HO FAQAT PESH E NAZAR
RAASTA JIS QADAR BHI HO DUSHWAAR

MAUT KAY KHAUF SE GHUT KAR NA JIYO
ROZ MARNAY SE HAY BEHTAR IK BAAR

ROZ O SHAB JO JALE'N MASAA'IB MEN
KYA JALAAEGI UNHE'N AATISH E NAAR

RAAH E DUSHWAAR JAZBA E MANZIL
KHUSHK PATH-JHAR BARHAA'AY TALAB E BAHAAR

FEHEM O IDRAAK KI TUGHIYAANI MEN
GHARQ HOJAAEN GAY MAAZI KAY MAZAAR

TUM QASEEDAY NAHI LIKHTAY SAAQIB
KYOON SUNAY BAADSHAAH TUMHAARI PUKAAR

"JOONHI TERI DEED KA KHANJAR PADA"

JOONHI TERI DEED KA KHANJAR PADA
DIL MEN AT'KA GHAM CHITAKH KAR GIR PADA

YOO'N NAZA KI KAIFIYAT PUR-KAIF HO
JAB YEH SAR HO TERAY ZAANO PAR PADA

KYA BATAAE'N AAP BIN KYA HAAL HAY
HUM PE JAISAY SAAYA E MEHSHAR PADA

KHOJTA REHTA THA BAAHIR HAST MAIN
AB HAY JAANA YEH MERAY ANDAR PADA

YEH GUMAA'N HOTA HAY DUNIYA DEKH KAR
JAISE KAAGHAZ PAR HO IK MANZAR PADA

SANGSAARI JAB HUI THI QAIS PAR
ROOH PAR MERAY BHI IK PATHTHAR PADA

LAASH PAR MADDAAH NE JUMLA KASA
SAAQIB E AASHIFTA SAR SHAAYAR PADA

""GUL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N""

GUL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N
BULBUL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

SAB RAASTAY NAAPED HAIN
MANZIL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

HAR CHASHM HAY JAB ASHKBAAR
BAADAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

HAR SIMT HAY BOO E LAHU
SANDDAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

HAR HAATH MEN KASHKOL HAY
SAA'IL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

HAY ZEB-TAN PINJAR BADAN
MAKHMAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

FOOTPAATH JAB GHAR HO MERA
MEHEL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

PHIR BHOOK NE KI KHUD-KUSHI
CHAAWAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

MEHROOMIYO'N KAY DASHT MEN
MEHFIL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

QAANOON E JANGAL SHEHER MEN
JANGAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

JAB ADLIYA HO DAASHTA
AADIL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

MUNSIF NE SACH KO MAUT DI
QAATIL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

AE AHL E ILM MUJRIM HO TUM
JAAHIL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

MAAZI SYAAH TAAREEK HAAL
AB KAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

YEH SHEHER BEHER E BAY-KANAAR
SAAHIL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

HAY SHAAIRI ILM E WAHI
ANZAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

SAAQIB TO DEEWANA HAY YAAR
PAAGAL KAY BAARAY KYA LIKHOO'N

"AANKHE'N"

TERI AANKHE'N MUJHE KYOO'N DEKHTI HAIN
KYOO'N MERI ROOH MEN YEH JHAANKTI HAIN
TERI AANKHO'N KI JUSTJU KYA HAY
YEH BHALA MUJH MEN KYA TALAASHTI HAIN

YEH TERI JHEEL SI PYAARI AANKHE'N
YEH DO GULAAB KI KYAARI AANKHE'N
YEH TERAY MAY KAY PYAALAY NAINA
YEH BIN PIYE HI KHUMAARI AANKHE'N
TERI AANKHO'N MEN SUROOR O MASTI
IN MEN POSHEEDA HAY RAAZ E HASTI
TERI AANKHO'N MEN SHAADMAANI HAY
SHAUKH JAZBAAT HAIN JAWAANI HAY
ZEEST KAY DILFAREB SAPNAY HAIN
RANG O AAHANG KI KAHAANI HAY
TERI AANKHO'N MEN SHARAARAT BHI HAY
CHAAHAY JAANAY KI CHAAHAT BHI HAY
NAAZ O ANDAAZ KAY ALLAR SHOLAY
BHASM KARDAY WOH TAMAZAT BHI HAY
TERI AANKHE'N HAIN ZINDAGI KA AKS
DILKASH O DILNASHIN MASTI O RAQS
YEH TERI MADH-BHARI AANKHE'N JAANA'N
YEH TERI RAS-BHARI AANKHE'N JAANA'N
MERI AANKHO'N MEN KYA TALAASHTI HAIN

MERI HAIRAAN O PREESHA'N AANKHE'N
MERI ZHOOLEEDA O WEERAA'N AANKHE'N
YEH MERI AANKHE'N KHUSHK DARYA E GHAM
YEH ABR E YAAS AABSHAAR E ALAM
YEH MERI ROOH KAY ZAKHMO'N KA AKS
ZHARF AEHSAAS KAY KHOO'N SAY PUR-NAM
MERI AANKHE'N RUKH E MAGHMOOM JAHA'N
JAZBA E JOSH E NIHAA'N SHOLA NUMA
MAZHAR E RANJ O DARD O AAH O FUGHAA'N
KHOON BARSAATAY CHALAKTAY ZINDAA'N
MERI AANKHO'N MEN MUFLISI KA ROG
NANG MAKHLOOQ BHOOKAY PYAASAY LOG
JABR KAY KUCHLAY HOOWO'N KI QABRAY'N
ZINDA LAASHO'N KI MAIYATTO'N KA SOG
MERI AANKHO'N MEN NA SHARAARAT HAY
CHAAHAY JAANAY KI NA KUCH CHAAHAT HAY
IN MEN BAY-NOOR CHEEKHTAY CHEHRAY
MUNSIFO'N KAY LIYE HIQAARAT HAY
ZULM KAY MAARAY HOOWAY LOGO KI
TALKH MEHROOMIYAT KA ANDHERA
MERI AANKHO'N MEN KUCH NAHI MERA

YEH TERI JHEEL SI NEELI AANKHE'N
JAAM CHALKAATI NASHEELI AANKHE'N
MERI AANKHO'N MEN KYA TALAASHTI HAIN
TERI AANKHE'N MUJHAY KYOON DEKHTI HAIN

"SAAA'iL"

TAPTA SEHRA ROOKHI RETI
BAANJH GAGAN AUR SOOKHI KHETI
SEHMI SEHMI SAANJH SATI SI
DHUNDHLI DHUNDHLI DHOOP DARI SI
PEELAY PEELAY HONT SHAFAQ KAY
PHEEKAY PHEEKAY RANG DHANAK KAY
GHUTI GHUTI SI SAANS FIZA KI
RUKI RUKI SI NABZ HAWA KI
MAN KI NAGRI KA HAY JAANA'N
YEH SAARA ZHOOLEEDA MANZAR
TERI AIK NAZAR KA ROGI
MAIN TERA MASTANA JOGI
TERI AAS KI PYAAS KO SEHTAY
PAL PAL TERI YAAD MEN BEHTAY
NAZA KAY AALAM TAK AA POHNCHA
IS SAY AAGAY BEHER E AJAL KI
TEERA O TAAREEK PANAAHE'N
BAAN'H PASAARAY PAAS BULAAE'N
BOJHAL SI UMEED KAY AB BHI
ZEEST KI CHAND NAEEF SI KIRNAY'N
ROSHAN SAHAR MEN DHAL SAKTI HAIN
YAAS NIRAAS BADAL SAKTI HAIN
GAR TU AAS KI PYAAS BUJHA DAY
GAR TU DEED KI SAANS PILA DAY...

"AKS"

DOOR SE DAAGHDAAR DIKHTA HAY CHAAND
SOCHA!
MERI NAZRO'N MEN KHALLAL HAY SHAYAD
UTAAR KAR GHAUR SE DEKHA
TO YEH MAHLOOM HUA
YEH TO BE-DAAGH HAY SHAFFAAF AAEENAY KI TARAH
YEH TO ZAMEE'N KAY ZAKHM HAIN JO DAAGH KI SOORAT
MUNA'KS HOTAY HAIN CHAAND SE

Sunday, April 27, 2008

"MANDIRO'N MASJIDO'N"

MANDIRO'N MASJIDO'N GIRJO'N MEN NA SHIWAALO'N MEN
SUKOON E QALB HAY BAS ZEHER E SACH KAY PYAALO'N MEN

GAUTAM O OSHO O SUQRAAT O ARASTU O HALAAJ
ISHQ KAAMIL KHUDA BANA HAY IN MISAALO'N MEN

MAIN TUJHAY KHAAMSHI HI DOONGA JUSTJU KAY EVAZ
MERAY JAWAAB CHUPAY HAIN TERAY SAWAALO'N MEN

TERAY KHAYAAL MEN KHOI HUI MERI SOCHE'N
TUJHI KO KOJHTI REHTI HAIN BAS KHAYAALO'N MEN

BADI HI MAAND POH PHATI HAY ZULMAT E SHAB SE
ZARA SA NOOR UNDELO TO IN UJAALO'N MEN

BAHUT KARAM HAIN US KAY AEHL E SITAM PAR SAAQIB
KHUDA KA HAAL BURA HAY SHIKASTA HAALO'N MEN

"KHUDI KAY DOZAKH MEN"

KHUDI KAY DOZAKH MEN JAL RAHA HOON
MAIN QATRA QATRA PIGHAL RAHA HOON

FANA KA SOORAJ NIGAL KAY DEKHO
ANA KA LAAVA UGAL RAHA HOON

VAJOOD E MAN KA ADDAM ABBAD HAY
JANAM SE APNA AZAL RAHA HOON

KHUDI MEN JAB SE KHUDA KO PAAYA
KHUSHI SE KHUD MEN UCHAL RAHA HOON

HOON TAZBUZAB KA SHIKAAR AZ-KHUD
PA FIKR E DEEGAR BADAL RAHA HOON

TUMHEN HAY KHAUF E RASAN AE SAAQIB
TUMHI RUKAY HO MAIN CHAL RAHA HOON

"RAAT RAQSAA'N HAY"

RAAT RAQSAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN
CHAAND MEHMAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

DHOOP DIL-KASH DULHAN SI LAGNAY LAGI
DIN FAROZAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

HAY BADAN PAIRHAN MEN POSHEEDA
ISHQ URIYAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

BOO E GUL BAAD E SABA ZAAT E KHUDA
SAB NUMAYAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

KOI HAAJAT HI NAHI'N BAAD AZ MARG
KHULD PINHAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

KAUN DAR-PARDA NIZAAM E HASTI
RAAZ AFSHAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

KUFR SAMJHAY ISAY WAAHEZ CHAAHAY
MERA EEMAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

YOO'N TO HAR AAN GARAA'N HAY LEKIN
ZEEST AASAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

SAARI DUNIYA MUJHAY WEHSHI SAMJHAY
SAAQIB INSAA'N HAY TERI AANKHO'N MEN

"TRIVINI-3"

ZABT JAB HAD SE GUZAR JAAEGA

AASMAA'N MEN SOOI CHUBHO'OONGA

YEH TASAUWAR HI SUKOO'N DAY SHAAYAD

"NOSH"

PEE RAHA THA SHARAAB SHAAM SE MAIN

PEETAY PEETAY TUMHAARI YAAD AAI

YAAD KAY SANG TUM CHALAY AA'AY

AUR PHIR TUM NE PEE LIYA MUJH KO

"AETRAAF"

MERE WAJOOD KI DHARTI TO SADA BAANJH RAHI
HAA'N TUMHI MEHER E QUDUS KAY WOH PEHLAY TUKHM E GOHAR HO
JO ISMAY JAZB HUAY
MERA AEHSAAS MURDNI SE UTHA
MERE JAZBAAT PEHLI BAAR JAGAY
HAA'N TUMHI HO JIS NE
MUJHAY TAKHLEEQ KA GHUROOR DIYA
TUM MERI SADIYO'N KI PYAASI BE-KAL
ROOH KI KOKH SE JANMAY
AUR MERE HAST KO MAANI BAKHSHA...

"YAAD DIHAANI"

DUSHWAARIYO'N KO SEH KAR
BAAD AZ KATHAN MUSAAFAT
AE KHUSH NASEEB NADIYA
POHNCHI HO SAMANDAR TAK
KHATM E SAFAR MUBARAK
MANZIL BAHUT MUBARAK
LEKIN KABHI NA BHOOLAY
KIS KOH SE JAN'MI HO

"MERA BICHRA YAAR MILA WAY JOGI"

MERA BICHRA YAAR MILA WAY JOGI
MAN BHEETAR PEED GHATA WAY JOGI

SAB KAHE'N TU SACHA SWAAMI HAY
GYAANI HAY ANTAR YAAMI HAY
TERI FITRAT BHI ALHAAMI HAY
KOI MAAYA RANG RACHA WAY JOGI
MERA BICHRA YAAR MILA WAY JOGI

MAINE PREET KA CHOLA HAY PEHNA
MORA PREETAM HI MORA GEHNA
UN BIN MAN BE-KAL DIN RAINA
MORI SOONI MAANG SAJA WAY JOGI
MERA BICHRA YAAR MILA WAY JOGI

TERE DWAARAY DOOR SE AA'AY HAIN
SAB AAS TUMHI SE LAGA AY HAIN
TOONAY SAB KE BHAAG JAGA'AY HAIN
MERAY BHI BHAAG JAGA WAY JOGI
MERA BICHRA YAAR MILA WAY JOGI

BIN SAAJAN SAAWAN SOGI RAY
BOONDE'N BIRHA KI ROGI RAY
KAB GHARI MILAN KI HOGI RAY
TU SACHCHI BAAT BATA WAY JOGI
MAN BHEETAR PEED GHATA WAY JOGI
MERA BICHRA YAAR MILA WAY JOGI....

"LATA MANGESHKAR"

MADHOSH WAADIYO'N MEN
JHOOMTI PAGDANDIYA'N
BEHTAY RAQS KARTAY
BARHANA JHARNAY
KOH AAGHOSH ME'N LETAY
CHOOMTAY BAADAL
GULAABI SHAAM KI AANKHO'N MEN
SHAB KI DEED KA KAAJAL
KIRNO'N SE ATHKELIYA'N KARTI'N
PURKAIF PHOWAARE'N
ZEEST MEN RAS GHOLTI
PURNOOR BAHAARE'N
DHANAK KI DIL-KASHI
SHAFAQ KI SHAAIRI
YEH DHOODHIYA CHAANDNI
HAWAAO'N KI RAAGINI
YEH FIZAAE'N KEHKASHAAE'N
HUSN E FITRAT KI YEH DIL-RUBA ADAAE'N
JAB BHI GUNGUNAATI HAIN
RAG O PAY MEN
SURO'N SE BHI SUREELAY
TILSIMAATI SUR CHALAKTAY HAIN
YEH SUR JAB
IK SADA AY GHAEB MEN YAKJA HOTAY HAIN
TO PHIR
IK PUR SEHER
SHAFFAAF SI AAWAAZ AATI HAY
JISAY BAS ROOH SUNTI HAY
SAMAAHAT SUN HO JAATI HAY
GUMAA'N HOTA HAY JAISAY
ARSH PE KOI ACHANAK
BOL UTHA HO
YEH
MISRI KI DALI
MOHATTAR
ANBARI O SANDALI
AAWAAZ E LATA HAY...

""PANCHAM"" (R.D.BURMAN)

PATHO'N PE GIRI BHEEGI SHABNAM
PHOOLO'N KI KHUSHBUO'N KA RUM
MISRI AUR SHEHED KA HAY MADGHAM
JO DHANAK KI BOONDO'N KI RIMJHIM
JO BAADAL KI GHAN GARAJ KA SAM
JO JIDDAT KA RANGEE'N MAUSAM
JO MAUJ E BEHER E MATLAATAM
JO VAJD O SUROOR KA HAY AALAM
JO KASHF O TABEEB E MARZ E GHAM
JO ROOH KI ZAKHMO'N KA MARHAM
JO LAHU MEN PEWASTA JAANAM
JO SURO'N KI DEVI KA PREETAM
JO MADHUR SURO'N KA NAYA JANAM
JO LAAKH SURO'N KI IK SARGAM
WOH RAHUL DEV BURMAN PANCHAM

"AABIDA AABIDA"(abida parveen)

SUFIYO'N KI SADA AABIDA AABIDA
AASHIQO'N KI ADA AABIDA AABIDA

TERE VIJDAN SE SACH KI PEHCHAAN HO
RAABTAA'AY KHUDA AABIDA AABIDA

THAATH KAAFI CHIRAY HO MALANGI DHAMAAL
ARSH DEWAY NIDA AABIDA AABIDA

SUN KAY TUJH KO HO KAM ROOH KI TASHNAGI
NOOR KA MEHKADA AABIDA AABIDA

TU JO MAULA KAHE WOH SUNAY GHAUR SE
KHALQ KI QAASIDA AABIDA AABIDA

MAHBUD E SUR MEN HAR DAM KARAY IBD E HOO
ISHQ KI SAAJIDA AABIDA AABIDA

HAY DUA AY FAQIRI TU JEEVAY SADA
TUJH PE SAAQIB FIDA AABIDA AABIDA

"MAN O TO"

MAIN APNE ANDAR JA KAR JAB BAAHAR NIKLOONGA TAB TUJHSE MILOONGA
JAB ZEHEN KAY BHARAY PYAALAY KO KHAALI KARDOONA TAB TUJHSE MILOONGA
JAB JHOOT KAY PAIMAANAY MEN SACH KA ZEHER PYOONGA TAB TUJHSE MILOONGA
JAB NOOR E ISHQ SE MAN KA HAR KONA BHAR DOONGA TAB TUJHSE MILOONGA
"TO" KYA HAY? "MAN" KA HISSA HAY
"MAN" KYA HAY? "TO" KA JALWA HAY
JAB MAN KAY SAARAY BAND DAREECHAY WAA KARDOONGA TAB TUJHSE MILOONGA

"EK SHE'R"

MERAY KHAYAAL KAY PEHLU MEN BAITH KAR DEKHO

TUMHAARE KHWAAB NA MUSKAAE'N TO MUJH SE KEHNA

"SHIRAAKAT"

ZARA DEKHO TO AAS PAAS KAY LOG
GHOOMTAY GHAAMTAY CHALTAY PHIRTAY
APNI MAJBOORIYO'N KO AAPAS MEN
NA CHAAH KAR BHI BAANT LETAY HAIN
GO YEH AEHSAAS UNHE'N HOTA NAHI'N
MAGAR WOH PHIR BHI JAANTAY HAIN KAY
YAHI JEENAY KA IK TAREEQA HAY
APNI MAJBOORIYO'N KO AAPAS MEN
BAANTNAY KA YAHI SALEEQA HAY
GHAMZADA AUR KHUSH MIZAAJ LAMHAY
BAANTNAY SE HI TO KAT'TA HAY SAFAR
AUR AAJAATI HAY MANZIL IK DIN
MAUT KI PURSUKOON WAADI KA
PAR USAY KOI BAANT'TA BHI NAHI'N
MAIN BHI TANHA HOO'N AUR TUM BHI TANHA
MERI TANHAAI MERI MAJBOOR
TERI TANHAAI BHI MAJBOORI HAY
KYUN NA HUM BHI INHI LOGO KI TARAH
APNI MAJBOORIYO'N KO BAANT HI LE'N
KYOO'N NA TANHAAI KA SAUDA KAR KAY
APNI MAJBOORIYO'N KO KAM KAR LE'N
AAO TANHAAI BAANT LE'N HUM TUM....

"KHAYAAL ZOR SE"

KHAYAAL ZOR SE OOPAR UCHAALNAY DONA
FALAK MEN CHOTA SA SHIGAAF DAALNAY DONA
ZARA DEKHOO'N TERI TANHAAI KAISE KAT'TI HAY
BAS AIK PAL MUJHAY US PAAR JHAANKNAY DONA

"SOTI RAAT KI BAHON MEN"

SOTI RAAT KI BAAHO'N MEN YEH JAAGTA CHAAND
KAN AKHIYO'N SE TAARO'N KO HAY THAAKTA CHAAND

JAL KAR RAAKH KA DHER HI NA BAN JAA'AY KAHI'N
DHOOP KE PEECHAY PEECHAY SAR-PAT BHAAGTA CHAAND

SADIYO'N KI TANHAAI KAY SADMO'N SE CHOOR
DIL KA GHAM HAR SHAB HAY MUJHSE BAANT'TA CHAAND

NIRMAL KOMAL RESHAM JAISI CHAANDNI SE
ZAMEE'N KAY NANG BADAN KO SHAB BHAR CHAAT'TA CHAAND

PIYA PARAA'AY DES MEN GORI GHAR AANGAN
MILAN KI MANZIL KA IK SUNDAR RAASTA CHAAND

SAAQIB NAHEE'N QUBOOL HAME'N YEH MAAH E YAAS
CHAAHIYE AB MAGHROOR GAGAN KO KAAT'TA CHAAND

"ZARA AEHTIYAAT KAR"

ZAAHIR HAY BADGUMAAN ZARA AEHTIYAAT KAR
BAATIN PE DAY DHYAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

DEKHO PA FARAASAT SE YEH MAZAAHIR E FITRAT
AE DEEDA E HAIRAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

BAY-WAJ'HA ULAJHNA KYA AQAA'ID KAY BEHES MEN
EEMAA'N HAY BAY-EEMAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

MAANGO JO MAANGNA HAY MAGAR AAJIZI KAY SAATH
HASSAAS HAY BHAGWAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

PARWAAZ KAY JUNOO'N MEN NA KAT JAAO ZAMEE'N SE
OONCHI TERI URAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

DARYA KAY DAHAANAY PE BANAAO NA GHARONDA
KACHCHA TERA MAKAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

SAALAAR O SHAIKH AIK HI KUNBAY SE HAIN SAAQIB
TU GHAIR HAY NAADAAN ZARA AEHTIYAAT KAR

"BE-KHUDI"

MAIN KHUD KO BHOOL JAATA HOON
SARAASAR BHOOL JAATA HOON
HAAN YAKSAR BHOOL JAATA HOON
TU JAB BHI YAAD AATI HAY...

"BAAGHI"

FITRAT KI ZANJEERE'N PEHNAY
SAR SE PAAO'N TAK BERI MEN
LAHU MEN LATH-PATH BADAN DAREEDA
JAHA'N MEN SAB SE UMR RASEEDA
WAQT KO DEKHO BHAAG RAHA HAY
KHAUF YAHI KAY HAATH NA AA'AY
HAATH AA'AY TO JAAN SE JAA'AY
BHAAGA JAA'AY BHAAGA JAA'AY
IS KAY PEECHAY SAARI KHALQAT
BIN JAANAY BIN SOCHAY SAMJHAY
BAY-SUDH SAR-PAT BHAAG RAHI HAY
ITNI SADIYO'N BAAD BHI LEKIN
IK BHI LAMHA PAKAR NA PAA'AY
PHIR BHI PEECHAY BHAAGI JAA'AY
AZAL KI QAID SE BHAAGA QAIDI
ABBAD KAY PAAR HI SHAYAD DAM LAY
ABBAD BHALA KIS NAY HAY DEKHA
WAQT BARA BAAGHI HAY DEKHO...

"TRIVINI-2"

SHOR O GHOGHA HAY CHAAR SU

KYA KARE'N HUM GUFTGU

CHALO CHUP KI BOLIYA'N BOLE'N

"AAMRIYAT"

ABR SE AAG JAB BARASNAY LAGAY
JISM JAB CHAAO'N MEN JHULASNAY LAGAY
BE-QARAARI HO SOGWAARI HO
ROOH TASKEEN KO TARASNAY LAGAY

JAB HAQIQAT BHI GUMAA'N HO JA'AY
HAR KHUSHI AAH O FUGHA'N HO JA'AY
KHAAR JAESI HO PATHIYO'N KI CHUBAN
MAUSAM E GUL BHI KHIZA'N HO JA'AY

SOCH JAB SOCHNAY SE QAASIR HO
IZZAT E NAFS BHI MUTAASIR HO
JUSTJU ZAABTO'N KI BAANDI HO
AARZU DASTRAS SE BAAHIR HO

JISM JAB SAANS KO LAGAY ZINDAA'N
FIKR AEHSAAS PAR HO BAAR E GARAA'N
YAAS HI YAAS HO MANZAR HAR SOO
MANZIL E ZEEST HO BAY RAAH O NISHAA'N

JAB RYASAT MEN KHAUF O DEHSHAT HO
BUM O BANDOOQ KI HUKOOMAT HO
FARD E WAAHID HO HAAKIM E KHUD SAR
QAUM KI RAA'AY BHI BAY WUQHAT HO

SOORAT E HAAL HO JAB AISI TO
JAAN LO AE AZIZ HAM WATANO!
YEH RIWAYAAT E BARBARIYAT HAIN
YEH NISHANAAT E JAARIIYAT HAIN
YEH ALAAMAAT E AAMRIYAT HAIN...

"BADLA"

BE-KAL TANHA BAITHAY BAITHAY
IK MASTANA PAGLAAYA TO
SOCH US NE
KYUN NA AAJ MAIN MAAROO'N USKO
JO DHARTI KAY BAASHINDO'N PAR
HAR DAM APNE SHAUQ KI KHAATIR
DUKH JHANJHAAL AUR KARB KAY KANKAR
PHAINKTA REHTA HAY
AAKHIR USNE UTHA KAY PATHAR
PHENKA OOPAR FALAK KI JAANIB
PAR ULTI HO GAI KOSHISH USKI
PATHAR JAB WAAPIS AAYA TO
USI KA MAATHA PHODA USNE
BIPHAR GAYA WOH AUR BHI ZYAADA
SOCHA USNE
OOPAR SE PATHAR MERE SAR PAR
ZAROOR USI NE PHENKA HOGA
OSAY BHI THODI LAGI HAY SHAYAD
MUDDAT BAAD TO HAATH AAYA HAY
NAHI CHOROONGA!
MAIN BHI USKA SAR PHOROONGA
JAMA KIYE PHIR DHER SE PATHAR
IK IK KAR KAY SAARAY USNAY
PHAINKAY OOPAR FALAK KI JAANIB
LEKIN WAAPIS AAKAR HAR BAAR
USI KAY SAR PAR LAGTAY RAHAY SAB
KAAFI LAHU LOHAAN HUA WOH
AAKHIR KO BE-JAAN HUA WOH
PAR MAUT SE PEHLAY
DEKH KAY OOPAR WOH CHILLAAYA
TOO BHI YAAD KAREGA DUSHMAN!
KIS SE TERA PADA HAY PAALA
JAAN GANWA BAITHA HOON LEKIN
TUJHAY NAHI CHORA HAY MAINE
TERA BHI SAR PHORA HAY MAINE
DUKH JHANJHAAL AUR KARB KAY SAARAY
LE LIYE MAINE BADLAY TUJH SE
AB MAIN CHAIN SE MAR PAAOONGA....

"ALMIYA"

ban gai zan bhi milkiyat zar ki
jaise hoti hay koi shay ghar ki
izz e ghaerat pe jaan jaati hay
roz ik bay zubaan dukhtar ki
habs se dam hi kyun na ghut jaa'ay
par sirak paa'ay na chaadar sar ki
yoo'n to jannat hay maa kay paao'n talay
par gawaahi hay nisf kamtar ki
mard ne aarh men mazaahib ki
bas ghulami teri muqqadar ki
aur ban baitha khud mijazi khuda
haisiyat apni zan se bartar ki
oob jaa'ay jo man badal do zan
jaise chaadar ho koi bistar ki
naam pehchaan bhi nahi zaati
pehle waalid ki ab hay shohar ki
chaar izwaaj o hoor o ghilmaa'n bhi
har sahoolat bas apni khaatir ki
kitni sadiyo'n sati chita men jali
jeetay jee paai naar mehshar ki
fikr e niswaa'n pas e zindaa'n saaqib
fuqiyat rakhti hay taaqat nar ki

"TAQREEB"

dulhan ki tarah sajay haal men
kasrat thi saahib e sirwat logo ki
damaktay poshaako'n men chamaktay chehray qumqumay lag rahay thay
mukhtalif un noh muraghan ghizaao'n ki bharmaar thi
dheemi moseeqi pe hasee'n jism thirak rahay thay
baa zauq khirad mando'n kay jaam chalak rahay thay
hisb e riwayat saahib ur ra'ay naam cheeno ko
daawat e izahar e khayal bhi di gai
jin kay taasuraat daanishwaraana maharat se ladday huay thay
joban pe thi baa ronaq taqreeb
us tasveer nigaar kay aehzaaz men
jo aalmi muqaabla ay tasveer kashi men awal aaya tha
us shaahkaar ki badolat
jis men
aik khoonkhaar gidh muntazir hay
ik qehet zada tifl e syahfaam kay marnay ka...

"TUM"

hum tumhen bhool kahan paa'ay hain
ab bhi yaado'n men khankti ho tum
jab kabhi teen pe tapkay baarish
jalti socho'n pe barasti ho tum
jab shafaq choomti hay baadal ko
saaray manzar se chalakti ho tum
jab kabhi khushbuay'n bikharti hain
in fizaao'n men mehekti ho tum
jab kabhi chaandni muskaati hay
chaand taaro'n men chamakti ho tum
jab kabhi saahilo'n pe baith'ta hoon
saari lehro'n se umadti ho tum
jab kabhi khud se baat karta hoon
pyar se chaao se sunti ho tum
zabt jab had se guzar jaata hay
khushk aankho'n se tapakti ho
jab bhi tanhaai gher leti hay
rooh se meri lipat'ti ho tum
hum tumhen bhool kahan paa'ay hain
hum tumhen bhool hi nahi saktay
teray bosay tamaam saanso par
dil ki dharkan men dharakti ho tum

Wednesday, April 16, 2008

"Trivini"

Jism saakith hay magar rooh abhi zinda hay
Laash ki cheekh suno gay to yaqee'n aa'ay ga
Kabhi path-jhar men khushk patho'n pe chal kar dekho

"ZAMEER KA QAIDI"

zameer ka qaidi

bahut aazaad hota hay

yeh aazaadi junoo'n uska

junoo'n hi bas sukoo'n uska

kay jis ke waastay woh

sab massa'ib hans ke sehta

koi shikwa gila kuch bhi nahi

uff tak nahi karta

kay is dushnaam ka khanjar

hay uski rooh men paiwast

kay hay mehkoom dharti maa

aur ik be-sharm betay ki tarah woh be-hisi se

mujrimana khaamshi ka bojh uthaa'ay

ik pal bhi zinda reh nahi sakta

lagay maanind e zindaa'n god e maadar

woh hargiz seh nahi sakta

bas apni sarzami'n par haakmiyat uski chahat hay

yeh chahat nazriya e zeest

kay jiski justju men

dasht o sehra o bayaba'n kya

woh apne watan ko qaabiz qazaaqo'n se chudhaanay ko

har ik maidaan men har mahrkay men

marg se muska ke milta hay

watan hi deen o imaa'n hay

watan kalma deewanay ka

yehi naara mujaahid ka

badan mehkoom ho chaahay

magar ufkaar ho'n aazaad


ghulaami men jo khush ho

watan zindaan ho aur mutma'in ho

nahi woh laash se kuch kam ae logo!